samudra me chupa internet ka rehasya.. janiye kha se aata hai internet ?

hello friends, jaisa ki aap logo ko pta hai internet hume humare service provider ke dwara milta hai jese ki BSNL ,IDEA , AIRTEL..... Lekin kbhi socha hai ki service provider ko internet kha se provide kia jata hai. Toh aaiye jante hai internet ka rehsya? 



internet jo hai vo chlta hai cable ke through jisko hum bolte hai "optic fiber cable"  or Submarine cable iss cable kaa ek ek wire humare baalo(hair) ke jitna patla hota hai aur iske har ek wire me 100GBPS ki speed rhti hai. lekin hum toh mobile me use krte hai toh mob me  cable kha  hai toh friend hume jo network milta hai vo milta hai tower se aur ussy cable judi hui hai jha tk hume jana hai aur jha tak humara traffic jata hai ... ab me simple way me smjhata hu ..hume jo internet provide hota hai vo 3 alag alag company ke through hume milta hai.

Pehli jo hai vo tear 1 company iss comapny ne pure world me samudra ke andar apni cable bicha ke rkhi hai. internet bilkul free hota hai agr aap log bhi apne ghr se lekar office tk yaa fr aur khi bhi jha apko internet chiye vha tk apne ghr se cable bichado aur apne pc(computers) ko connect krdo toh ap internet se jud jayge bss aapka jo paisa lga vo lga sirf uss wire ka jo apne bicha ke rkhi hai aur uss wire ki maintainance ka.. yhi kaam humari tear 1 company bhi krti hai . usne bhi pure world me jitni bhi country hai vha samudra me cable bicha di ab saare connect hogye country to country.. ab country se apko state me divide krna hai  fir state se city uske baad fr hum logo tk ye internet phuchta hai.tear 1 company ne tear2 company ko ye 1GBPS ke hissab se internet dia hai mtlb tear 2 company ne 1GBPS ki rate se internet lia.

Ab baari aati hai tear2 company iss company ka kya kaam hai? tear 2 company ne tear 1 company jisne hume country to country cable se joda tha ab hume ussy city me lana hai toh uske liye hee hai tear 2 company jese humare india  me Mumbai , Cochin ,Chennai jesi jgaho pe ye cable joint hai vha se hee tear 2 companies ne inn cables ko city ke andr lia hai pehle inhone apna setup jmaya towers lgaye aur pura infrastructure set krlia.Reliance jio india 4g connectivity kese laa paya kuki vo bhi 5 saal se apna setup bichane me tha tbhi usne india me 4g connectivity di . ab kbi kbhi network speed jo hai vo kam hojati hai vo kese hoti jese reliance jio ka tower hai apke area me ab uski maximum bandwidth set rhti hai jese maan lijiye ek tower hai usme 100mbps ki bandwidth set krrkhi hai ab 4g hai jio toh aise me ek bande ko 20mbps ki speed milegi ab aisa krte krte toh  sirf 5 logo ko hee mil paayegi. issi trh unke har tower me ek maximum bandwidth set hota hai jese apke area me rush jyada hai aur sbhi ke pass jio hai  toh network slow hojata hai kuki inki bandwidh toh set hai jese 2 GBPS yaa 1 GBPS ab inhe issy me distribute krna pdta hai. fir ye hum tk phuchta hai  jese raat meapke area me logjio users hai aur lgbhag sbhi sojate hai toh kbhi kbhi speed achi mil jaati hai. Reliance jio ki khud ki submarine cable hai usne phle se hee Asia-Africa-Europe me apni optic fibre cable bicha rkhi hai isliye vo apko free data dedeta hai kuki usne phle se invest krdia hai cables me ab uska iske baad koi paisa nhi lga ab jo lgeyga vo sirf uss cable ki maintainence kaa lgega vo bhi 25 saal me ek baar toh iss trah reliance hume kbhi kbhi net free me dedeta hai.

Ab iske baad aati hai tear 3 company jo tear 2 company se cable ko apne network me legi fir vo internet hume provide hota hai ..Ab ye internet free hai lekin hum tk aate aate ye costly hogya kuki hum tk phuchne ke liye iss 3 tears companies ke through aana pda.    

so friends ye thi internet ki hum tk phuchne ki khani .

agr apko submarine cables dekhni hai toh iss link pe click kre.ye link apko jha jha bhi submariecables bichi hai vha ka map dikhayegi.
www.submarinecablemap.com

Comments

Post a Comment